Sunday, September 13, 2015

149.6 million km



Is khamoshi ke shor ko gar koi samajh le tou duniya se ghafil ho jaye..sarobar hum houn ilzaam barish pe aaye..Kyu na mere khawab ki ek safaid khidki aapke khawabo ke darmiyan khule...
Ab-o- hawa tumhri sanson ki ho khushbo mere dil ki ho yani tumhari ho..Thori si meri duniya ki baaten karu..mein ek saans lu tumhari ginti me do ho jayen...Omens rakhe hue hain sambhal ke ki kaam ayenge kuch kharch ho gaye baqi kuch bache nahin kyuki tum unme se he the..Thoda sa apne liye chaha hai saara milne ke liye zindagi thodi hai.......Aur phir barish royi hai hasi hai per aansoun ke saath..hope ke equilibrium ke saath..Aankhen band hum wahan hain aankhen khuli woh wahan hai.
Tum aise milo ki bus milo.
Is duniya se kuch julian years dur ek duniya ho, saat na sahi ek aasman tou mere khawab me bhi hai..Pyari si ek sehar ho ek gile suraj ke saath,gulabi sa suraj uthe aankh khole idher udher ghume wapis meri duniya me aaye mere chaand ko apna sehen dekar..Raat shartiya usi suraj ki khawahishein hogin..Woh suraj mere aangan ka ek shaqs hai..qayal hai..Arzi hai meri uski maujudgi,hukum tou Khuda ka ghulam hai.Meri tarah se koi aaye to aaye aur na jaye..na akar phir jaye tou jaye,bus tum aao tou na jao..Ek saans le dusre ki saans aye,ginti tumhari ungliyon pe do ho jayen,khawab tumhre tumhari ungliyon pe poore houn dua yaqinan hamari pori ho..dil ki mere yaani ke unki poori ho.
Ek ki aankhon se dusre ki mehek aaye,hotoun ki silwatein meri houn,khayaal tumhara ho naam tumhara yaani naam mera ho.Koi mujhse poch kar mujhe bataye meri har baat mujhe bhi tou pata chale meri har baat..Mein tou khagaan lu khud ko per aapne aap ko rakhna bhi apne aap me he hai..bikhroun tou aise ke simti na jaoun,itne hisson me batoun ...Phir ek aur khawab neend se jaage.Zid kisi ki pori ho zindagi kisi ki mukammal ho :')  ...mausim hain meri mutthi me bahut saare itne saare ki gine na jayen..
Jaane ko tou sab jaane dein per kuch waqt jaane ko nahin aata..jaaya nahin jata rehta hai,unhe ungliyon me unhi aankhon me..unhe mehek me...nahin jata tumhari meri umr bhar rahega woh sab jo chaha hai tumhari ragon ne ..meri sachchaiyon ne..Itni uthal puthal ek saleqeey se hoti hai ki jaan lo tou rou do..
Khamoshi ke shor me awazein nahin hotein kyu ki aankhon me itni jagah nahin hoti ki awaz aur khawab dono reh lein..hum sambhle na jayen,sirf tum sambhalo tou sambhal jayen..Hadd se aage maangne ko dil chahta hai..kabhi kabhi tou zarur chahta hai,insaan hone ki nishaniyon ko pora kerta hai..yeh sab sametey tou sahi koi,ghair hum tum nahin..albatta ghair ho jayen baghair tumhare...Sirf ek smile dashing se mere chehre per meri nahin tumhari..laperwah,kyunki mera tou sab sijdam hai mujh me hai jo bhi hai..Koi tou zariya kisi aasman pe mile...Kisi bhi aaine me ya phir aks me.Koi aisa kaanch ho ki tumhare hone pe sheesha ban jaye..
har kaanch aaina nahin hota banaya jata hai aaina use,uske ek hadd ko dhaank ke..kitna rota hoga wo silica jiske aander aapki roshni ko roka jata hai,usse cheen ke usi roshni se use bhiga ke aapko aapka chehra dikhya jata hai...Jo ki hazaron dafa hazaar hota hai..

Khushiyan perhain sab to behtar.


Me
10:27 pm April 21st 2014


No comments:

Post a Comment