Saturday, December 15, 2012

koi deewana kehta hai ..



This image is from a bollywood movie and is my one of the most favorite somethings.It has something.
And this poetry is by Kumar Vishwas which i am posting after a long time.It attracts somehow and i have developed some kind of affection with this poetry,whenever i hear it i smile and think about many breathes which i missed to take when i first heared it.Loved the road time heat and etc.I wish i could hear it soon.




Koi deewana kehta hai, koi pagal samajhta hai,
Magar dharti ki bechaini ko bas baadal samajhta hai,
Main tujhse door kaisa hoon, tu mujhse door kaisi hai,
Ye tera dil samajhta hai ya mera dil samajhta hai.....

Mohbbat ek ehsaason ki pawan si kahani hai,
Kabhi Kabira deewana tha, kabhi meera deewani hai,
Yahan sab log kehte hain meri aankhon main aasoon hain,
Jo tu samjhe toh moti hain, jo na samjhe to paani hain.....

Bahut bikhra bahut toota thapede seh nahin paaya,
Hawaaon ke isharon par magar main beh nahin paaya,
Adhoora ansuna hi reh gaya yun pyar ka kissa,
Kabhi tum sunn nahin paaye, kabhi main keh nahin paaya......

Bhramar koi kumudni par machal baitha to hungama,
Hamare dil main koi khwaab pal baitha to hungama,
Abhi tak doob ke sunte sab kissa mohhabat ka,
Main kis`sey ko haqeekat main, badal baitha to hungama......

Main uska hun woh ish ehsas se inkar karta hain,
Bhari mehfil mein bhi rusva har baar karta hain,
y`nki hain saari duniya ko, khaffa hain humsey woh leikin,
Mujhe maaloom hain phir bhi mujhi`sey pyaar karta hain.....

Main jab bhi tez chalta hun nazare choot jate hain,
Koi jab roop gah`dta hun to saa`nche toot jate hain,
Main rootha hun toh aakar log kandha thap thapate hain,
Main hasta hun toh mujhse log aksar rooth jate hain…...

Samandar peer ka andar hai lekin roo nahi sakta,
Ye ansoo pyar ka moti hai isko kho nahi sakta,
Meri chahat ko tu apna bana lena magar sunle,
Jo mere ho nahi paya woh tera ho nahi sakta....

Koi deewana kehta hai, koi pagal samajhta hai,
Magar dharti ki bechaini ko bas baadal samajhta hai,
Main tujhse door kaisa hoon, tu mujhse door kaisi hai,
Ye tera dil samajhta hai ya mera dil samajhta hai

Saturday, February 18, 2012

GHALIB'S...


Unusually posting this shayari here..Sunday mood special !
Read somewhere and found it interesting..actualy read it a month back..you like things which are intentionally done for you..I dont know for who by who..just sharing here..enjoy chacha Ghalib !

Koi Ummeed Bar Nahin Aati
Koi Soorat Nazar Nahin Aati
Maut Ka Ek Din Muayyan Hai
Need Kyon Raat Bhar Nahin Aati
Aage Aati Thi Hale Dil Pe Hansi
Ab Kisi Baat Par Nahin Aati
Janta Hoon Sababe-Taato-Zahad
Par Tabeeat Idhar Nahin Aati
Hai Kuchh Aisi Hi Baat
Jo Chup Hoon, Varna Kya Baat Kar Nahin Aati
Kyon Na Cheehkoon Ki Yaad Karte Hain
Meri Awaaz Gar Nahin Aati
Marte Hain Aarzoo Me Marne Ki
Maut Aati Hai Par Nahin Aati
Kaba Kis Munh Se Jaoge Ghalib
Sharm Tumko Magar Nahin Aati